logo

kabse hu kya batau MP3 Song

kabse hu kya batau MP3 song cover

About kabse hu kya batau MP3 Song

kabse hu kya batau is listed here as part of the MP3Medley music archive. The sections below help you move from the matching track to lyrics, album links and other related songs without starting a new search.

This page is generated from the MP3Medley catalogue. Track information, lyrics and artwork are shown only when those details are available for the matching archive record.



Mp3 Song Download
Songs Download Play & Listen
◉ kabse hu kya batauCategory / Artist: Latest ↧ Save Us
◉ Kabse hu kya batau Category / Artist: JAGJIT SINGH ↧ Save As

Kabse hu kya batau Song Lyrics

Song Title = Kabse hu kya batau
Movie/album = Mirza Ghalib 1988
Category / Artist = JAGJIT SINGH
Mp3 Song Lyrics
Song Lyrics Title  : Kabse hoon kkya bataon
Song Lyrics Movie : Mirza Ghalib 1988
Singer(s)  : Jagjit  Singh

mp3 songs

 KAbse Hoon Kya Bataon
 
miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat azaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye umr bhar
aane ka ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
 maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

 mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
 saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

 jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale?
 kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN?

 maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
 Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

 mai aur hazz-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
 jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

 hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
 hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

 laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
 laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

 woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
 jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

 woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

GHalib chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
 peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

 Posted by: {Anju}
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 

 

Kabse hu kya batau Video Song

Video is not currently available for this track.

Search/Lyrics Page AdvertisementSearch/Lyrics Page Advertisement

Browse this topic: kabse hu kya batau MP3 songs, kabse hu kya batau lyrics, related albums and music archive results.